Thursday, January 14, 2010

doulat ke main ambaar lagaati

doulat ke main ambaar lagaati, aanshoo mere gar bikh jaate pujti unko aaraadeya samjh kar, pal bhar ko gar wo tik jate jeevan bhar main takti rehti , bin palak jhapkaaye unko yun hi badal ki aunth men aa kar , chand ki tarah ghar na chip jaate kitni trapti milti mujhko, unke darshan se a simran palak bichati path men unke , pal bhar ko wo gar dikh jaate aa jaati qyaamat gar bikhra dete ,wo apne hushan ke jalwe pal bhar ko hi us mahfil men , dekhne wale gar ruk jaate mrat jeevan ko saanshen milti , man ki sukhi kaliyaan khilti jinko chaha jinko pooja , jeevan path per gar mil jaate

rutthe ho hum se kis liye

rutthe ho hum se kis liye , ek baar ye bta do
ruttho na humse simran , chahe jitna hame staalo

humne chaha jitna tujhko, hume utna samjha paraaya
tum parchayee ho humari ,hum hain tumhari chaaya
jo man men hain nafratein hain, unhe dil se apne htaa do
rutthe ho...............................

yahan kuch bhi nahi rahega , rah jaayengi bas yaadein
jo tumne khayee kasmein , jo humne kiye hain vaade
agar humse dil bhar gaya hai, to hume hi mitha do
rutthe ho......................................

rutthna mat nahi to bin mout mar jaayenge
zindgi ka har ek pal, tere naam kar jaayenge
bahut thak chuke hainhum, ab qabra men hi litha do
rutthe ho...........................................

Tuesday, July 28, 2009

Yun akale tumhare bina

Yun akale tumhare bina
jiyen kaise bataao tum
maar daale na hum ko kahin
tanhaai ka jaalim ye gum

saath marne ke kasme na khaa
saath marne ka vaada na kar
pyaar karna hai ibaadtey khuda
ho sake to sirf pyaar kar
tu tab tak wafa ko nibha
rahe jab tak tere dam men dam
maar daale na hum ko kahin.........

ho jaati hai jindgi fanaa
pyaar rahta hai jinda sada
na hraa paaye kaza bhi ese
jinda rahti hamesha wafa
bas muhabbat ke do bol se
simran" bhar jaate riste zakham
maar daale na hum ko kahin.............

jab janaaza mera uthe
na bahaana kabhi ashq tum
na nibha paaye saath hum tera
maaf karna dena bakhsh tum
phir milenge ye wada raha
phir lenge dubaara janam
maar daale na hum ko kahin.............

raat andheri aur veeraan hai
dil bahut hi pareshaan hai
sabar kab tak main tanha karoon
nikli jaati meri jaan hai
na sataao hume sanam
aa bhi jao akele hain hum
maar daale na hum ko kahin..............

Yahi wo pavan bhoomi hai

yahi wo pavan bhoomi hai, jise hindustaan kahte hain
humi kya dunia kahti hai, yahan bhagvaan rahte hain

himaalaya hai mukaat es ka ,pavitar ganga ki dhara hai
paharooan se samunder tak ,ye sara desh humaara hai
jo toofanoo se takraaye,yahaan wo insaan rahte hain
humi kya dunia...............

yahan mahaveer swami ne ,ahinsha dharm sikhlaaya hai
yahan goutam aur nanak ne,hume pyaar karna batlaaya hai
yahan jharne mohabbat ke, harek dil men hi bahte hain
humi kya dunia.................

bahaaya khoon bhi humne,chade hain suliyaan hanskar
mohabbat ko jhookaya sar,pakri talvaaren bhi hain kaskar
"simran " wo log hai bujdil,yahan jo Zulm sahte hain
humi kya dunia..................

Chaha tumhe kitna

Itne bade es jag men,koi nahi apna
tum ko iska aabaash nahi hai,
chaha tumhe kitna

tumko pooja hirday se humne,
yug-yug se tum meet humare
kise tumhe vishvaash dilaayen,
janam-janam se hum hain tumhare
tum he kavita,tum he prerna,
tum he meri kalpana
itne bade jag.........

badti jati kyun ye doori,
sapne men he mil nahi paate
kya milta hai tumko nishtoor,
kyun tum hum ko nit he satate
jeevan ka udayesh hai kewal,
naam tera japna
itne bade jag...........

mil na sake hum kabhi jeevan men,
hum hain sarita ke do kinaare
likhey vidhi ne kaise "simran",
ashroo men doobey bhaagay humaare
poora na ho paayega mera,
es janam ka sapna
itne bade jag............

Tumhe yaad kar kar ke

Tumhe yaad kar kar ke es kadar royee hoon main
na jane kab se kitni raatoan se nahi soyee hoon main

yaad aaye tumhari "simran"to tarap ke ro de
tumhare jaane ke baad khoyee-khoyee hoon main

Dosti to bas dosti hai

Dosti to bas dosti hai ae mere mahboob
dosti na ameer hoti hai na gareeb hoti hai

hum tumse jitna door chale jate hai "simran"
tumhari chah utni hi sadeed hoti hai