yahi wo pavan bhoomi hai, jise hindustaan kahte hain
humi kya dunia kahti hai, yahan bhagvaan rahte hain
himaalaya hai mukaat es ka ,pavitar ganga ki dhara hai
paharooan se samunder tak ,ye sara desh humaara hai
jo toofanoo se takraaye,yahaan wo insaan rahte hain
humi kya dunia...............
yahan mahaveer swami ne ,ahinsha dharm sikhlaaya hai
yahan goutam aur nanak ne,hume pyaar karna batlaaya hai
yahan jharne mohabbat ke, harek dil men hi bahte hain
humi kya dunia.................
bahaaya khoon bhi humne,chade hain suliyaan hanskar
mohabbat ko jhookaya sar,pakri talvaaren bhi hain kaskar
"simran " wo log hai bujdil,yahan jo Zulm sahte hain
humi kya dunia..................
No comments:
Post a Comment