Tuesday, July 28, 2009

Yun akale tumhare bina

Yun akale tumhare bina
jiyen kaise bataao tum
maar daale na hum ko kahin
tanhaai ka jaalim ye gum

saath marne ke kasme na khaa
saath marne ka vaada na kar
pyaar karna hai ibaadtey khuda
ho sake to sirf pyaar kar
tu tab tak wafa ko nibha
rahe jab tak tere dam men dam
maar daale na hum ko kahin.........

ho jaati hai jindgi fanaa
pyaar rahta hai jinda sada
na hraa paaye kaza bhi ese
jinda rahti hamesha wafa
bas muhabbat ke do bol se
simran" bhar jaate riste zakham
maar daale na hum ko kahin.............

jab janaaza mera uthe
na bahaana kabhi ashq tum
na nibha paaye saath hum tera
maaf karna dena bakhsh tum
phir milenge ye wada raha
phir lenge dubaara janam
maar daale na hum ko kahin.............

raat andheri aur veeraan hai
dil bahut hi pareshaan hai
sabar kab tak main tanha karoon
nikli jaati meri jaan hai
na sataao hume sanam
aa bhi jao akele hain hum
maar daale na hum ko kahin..............

1 comment:

  1. are simranji aap sharoo shayaree kab sa karna lagee

    ReplyDelete